
1426/2005 – Aaj Bhi Shabbir Ko
Lyrics
(Ya haider-e karrar) x9
1. Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
2. Masjid udaas mimbare kufa udaas hai
Tar khoon me khuda ke wali ka libaas hai
Rota hai asmaan zami(n) ghamse phat gayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
3. Masjid me rozadar par kaysa sitam huwa
Kabe se aa rahi hai sadaa wa musibata
Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
4. Haay haay yateem Shabbar-o-Shabbir hogaye
Abbas dilko thaamke rote huwe chale
Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
5. Duniya mei bekaso ka sahara nahi raha
Utraa tha jo falak se sitara nahi raha
Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
6. Maula mera jo khoon me apne naha gaya
Bole farishte haye ye kaisa sitam huwa
Hurrain ye roke kehti thi duniya ujargayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
7. Zehra lahad me roti hai Haider ke waste
Kehti hai cheyn kabr ke andar nahi muje
Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
8. “Rehan” mere saath me rone lagaa kalam
Aankho se mere jaari huwe ayse ashke gham
Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x4
1. Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar,
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
2. Hai naame wafa aaj talak tujse hi baaki
Rakhi jo sare aab hai bunyaad wafaa ki
Is baat se karsakta nahi koyi bhi inkaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
3. Kha sakta nahi jhooti kassam koyi tumhaari
Hai ek siffat baab-e-hawaaij bhi tumhaari
Tu chahe to ruk jaaye abhi waqt ki raftaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
4. Ik mashk bhari nehr se, ik mashk diya khoon
Jab mashk chidi behgaya sine se tera khoon
Zainab ne kahaa maara gaya mera madadgaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
5. Dharas tha Sakina ki alamdar ka peykar
Jab tak raha zindaa na chini bibi ki chadar
Baad aap ke dakhil huwe khaymo(n) me sitamghar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
6. Tum bazuwe shabbir ho haider ke pisar ho
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
7. Tum ruh-e-ali, jaan-e-hussain, ibn-e-ali ho
Tum ibne wali, ibne wali, ibne wali ho
Hai dushamne dee(n) ke liye bazu teri talwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
8. Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
9. Tum Fatema Zehra ki duwawo ka asar ho
Tum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho
Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
10. Haider ne namaazo me jo Allah se manga
Kehte the khuda de mujhe Abbas sa beta
Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
11. “Rehan” kalam zikre alamdar karenga
“Abbas” ke munkir ko jo talwaar lagenga
Wo mere madadgaar hai mai unka hu ghamkhwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
12. Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar,
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
(Ay mere bhayi hussain) x4
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x3
1. (Sote ho kahaa(n) mujko) x2 bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
2. (Zainab ka khula sar hai, majma hai laeeno ka) x2
Chadar koyi zainab ko urha kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
3. (Lo kayd huwi bhayya, zindaa(n) ko chali behna) x2
Hai chaaro taraf aada hataa kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
4. (Gohar jo Sakina ko pehnaye the ay bhayi) x2
Wo shimr ne chhine hai dila kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
5. (Bhaya tere laashe ko pehnawu kafan kaise) x2
Qaydi hu laeeno se chura kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
6. (Kis tarha se kufe ka tanhaa me safar katoo(n)) x2
Sajjad ko tum ghash se jagaa kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
7. (Ab zulm laeeno ke me seh nahi pawu(n)gi) x2
Bhayya muje marne ki dua kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
8. (Rehan naa ghabrawo tum qabr ke manzar se) x2
Ek nawha farishto ko sunaa kyu nahi dete
Sote ho kahaa(n) mujko bataa kyu nahi dete
(Zainab ne kaha bhayi, sadaa kyu nahi dete) x2
(Haaye Qasim, haay haay qasim, shahzada mera qasim) x2
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x3
1. Roti hai phuphi uski, haaye roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
2. (Sab khu(n) me bharaa sehra poshaak darida hai) x2
Pamaal badan saara, haaye pamaale badan saraa, aur khaak ka bistar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
3. (Mehndi hai lahu wali nawhshaah ke haatho mei) x2
Saaye ke liye sar par, haaye saaye ke liye sar par, bas dhoop ki chadar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
4. (Tukre tha jigar jese ay maula hassan tera) x2
Tukro mei yahaa maula, haaye tukro me yahaa maula, waise tera dilbar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
5. (Maa kehti thi qasim ki ay laal kahaan jawu(n)) x2
G(h)ayre huwe khaymo ko, haaye G(h)ayre huwe khaymo ko, kuffar ka lashkar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
6. (Ik gathri me laate hai(n) shabbir ye kya ran se) x2
Awaaze falak ayi, haaye awaaze falak aayi, lakhte dile shabbar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
7. (Behno ne kiya matam qasim ke janaaze par) x2
Masroofe fughaa saari, haaye masroofe fugha saari, awlaade payambar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
8. (Shah kehte the ay qasim kyu(n) tuj ko ajal ayi) x2
Sine me mere beta, haaye sine me mere beta, ik dard ka khanjar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
9. (Bikhra hai tera sehra jalti huwi reyti par) x2
Har phool ki ankho(n) me, haaye har phool ki ankho(n) me, ashko ka samandar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
10. (“Rehan” zaraa socho laashe to bahattar hai(n)) x2
Rone ke liye tanha, haaye rone ke liye tanha, “Shabbir” ki khahar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
(Ya hussain, ya hussain) x4
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
(Hai zami(n) se asman tak) x2 tazkira Shabbir ka
1. (Asre ashoora jab aayi rehgaye tanha Hussain) x2
(Ik behen thi saath me) x2 sarpar khuda Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
2. (Hur chalaa jataa tha dozakh ki taraf chalta huwa) x2
(Phir achanak milgaya) x2 tha raasta Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
3. (Bujh gaya suraj yazidi fawj ka ik roz me) x2
(Jal raha hai aaj tak) x2 lekin diya Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
4. (Koyi roye ya na roye uski ye taqdir hai) x2
(Khud Muhammad parh rahe hai) x2 marsiya Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
5. (Ay falak tu hi bataa ye zayre khanjar kon hai) x2
(Ye Muhammad ka galaa hai) x2 ya galaa Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
6. (Teen din ki pyaas me laashe uthaye kis qadar) x2
(Sabr dekho zabt dekho) x2 hosla Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
7. (Tu bataa shame ghariba(n) baade shahe karbala) x2
(Khanaaye kaabaa jalaa ya) x2 ghar jalaa Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
8. (Khof kya “Rehan” usko hashr ke hangaam se) x2
(Jisko bachpan se rahaa) x2 ho aasra “Shabbir” ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
9. (Hai zami(n) se asman tak) x2 tazkira Shabbir ka
(Har azaa khane me hai matam bapaa Shabbir ka) x2
(Matam bapaa shabbir ka) x3
(Haaye asghar, haay haay asghar) x3
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x3
1. Royi hu bhare ghar ko, muje tum na rulaana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
2. (Tu bol nahi sakta hai, kya mangega paani) x2
Ay nehr mere laal ko, tu paani pilaana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
3. (Talwaar utha sakte nahi, tum mere beta) x2
Tum teer-e-tabassum hi ko hathyaar banaana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
4. (Maydan me barsaat hai teero(n) ki meri jaan) x2
Ay laal mere teero(n) se, tum khud ko bachana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
5. (Aah nad-e-ali dam karoo(n) gardan pe teri mei) x2
Hai radde balaa ke liye, nuskha ye puraana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
6. (Sunti hu(n) lagaa teer gale par tere beta) x2
Ye zakhme guloo khuld mei, daada ko dikhana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
7. (Maloom tha mujhko ke tumhe pyaas hai kaysi) x2
Marne ke liye paani ka, karte the bahaana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
8. (“Rehan” dua karta hu(n) nohay ke sile me) x2
“Shabbir” ka shaair hi, kahe mujhko zamana
(Maa kehti thi asghar mere ghar lawt ke aana) x2
(Haaye asghar, haay haay asghar) x3
Haye Zainab, haay haay zainab, haaye zainab, haaye zainab
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x3
1. (Phool ashko ke kafan) x2 chadar ka layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
2. (Dekh ay mazloom bhayi, ay mere be sar Hussain) x2
(Sar tera ehle sitam) x2 se cheen layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
3. (Teri majlis ki binaa mei daal ayi shaam mei) x2
(Tujpe rone ke liye) x2 zindaa(n) se ayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
4. (Kehti thi Abbas ke lashe pe aake nawha ghar) x2
(Bhayi tere baad to) x2 khu(n) me nahayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
5. (Mene tere halk per chalti huwi dekhi hai tegh) x2
(Dil jigar zakhmi hai sab) x2 gham ki sataayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
6. (Lashaaye Shabbir se aati thi ye peyham sadaa) x2
(Yu(n) na ro tere liye) x2 maghmoom bhayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
7. (Karbala se shaam tak tha me tere saath bahan) x2
(Chot jo tere laghi) x2 wo mene khayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
8. (Lashaye Abbas tarpa dekh kar ye haal zaar) x2
(Neel shaano par liye) x2 jis waqt ayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
9. (Bhayi se kehti thi tere abid-e-bimaar ko) x2
(Tera lasha dafn karne) x2 saath layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
10. (Lashaye “Shabbir” se ati thi awaaz “Rehan”) x2
(Amma meri laash par) x2 rone ko ayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
11. (Phool ashko ke kafan) x2 chadar ka layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2
(Shah ast hussain, badshaah ast hussain, dee(n) ast hussain, dee(n) panah ast hussain) x2
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x3 Aaj bhi shabbir ko
1. (Teen din ki pyaas me shabbir ka wo imtihaan) x2
Sar zamine karbala roti thi roya aasmaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
2. (Samne darya tha lekin tashnalab asgher raha) x2
Kehti thi bali sakina hai labo par meri jaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
3. (Hazrate abbas ke bazu kalam jab hogaye) x2
Kehti thi zainab saro se uth gaya hai sayebaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
4. (Sinaye akbar me barchi toot kar jab rehgayi) x2
Kehte the imdaad ko jald aayiye ay baba jaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
5. (Khoon me asgher naha kar sogaya maidan me) x2
Deyr tak rote rahe asgher pe sab teero kamaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
6. (Jab sare shabbir zindaa(n) me sakina ko milaa) x2
Roke dikhlane lagi rukh par tamaacho ke nishaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
7. (Yaad ajaata tha akbar madare akbar ko phir) x2
Jab kabhi kaano me aajati thi awaaze azaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
8. (Tukre tukre hogaya kasim ka laasha dasht me) x2
Laash ke tukre uthate rehgaye shahe zamaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
9. (Kal ghame shabbir me zainab ko na rone diya) x2
Ro raha hai aaj maula aap ko saaraa jahaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko
10. (Hazrate “shabbir” ho ya hazrate “abbas” ho) x2
Degaye “Rehan” dine haq pe dono apni jaan
(Aaj bhi shabbir ko, rota hai ye saraa jahaan) x2 Aaj bhi shabbir ko